Thursday 7 March 2013

Hindi Shayari















Kar dijiye maaf agar ho gayi ho koi khata,
Is kadar meri chahat ka imtehan na lijiye,
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gay koi khata,
Yun yaad na karke saza to na dijiye…





































Kyu Mushkilon Me Saath Dete Hain Dost,
Kyun Gam Ko Baant Lete Hain Dost,
Na Rishta Khoon Se Na Riwaaz Se Bandha,
Fir Bhi Zindagi Bhar Saath Dete Hain Dost…



   

Tanhaiyon me muskurana ishq hai,Ek baat ko sab se chupana ishq hai,Yun to neend nahi aati hamein raat bhar,Magar sote sote jagna aur jagte jagte sona ishq hai




Pariyn se sunder hai mhbooba meri,
Paakar use khud par naaz karta hun,
Har hanam mein bas usi ka banna hai,
Ye elaan sareaam karta hun…

Naraaz Naa Ho Humse Hum Na Reh Payenge..,
Itna Bada Sadma Na Seh Payenge..,
Deti Hai Gum Zindagi Pal Pal humein ..,
Tune Diya To Jeene Se Pehle Hi Mar Jayenge…

















Hasna jamara kisi ko gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota,
Milte hain bahot insaan is tanha is zindagi mein,
Par har insaan tumhare jitna pyaara thodi na hota hai…














Zindagi ek chahat ka silsila hai,
Koi mil gaya to koi bichad gaya,
Jise har pal maanga maine duaon mein,
Khuda se mujhe wo bina maange hi mil gaya…


















Milta nahi hai pyaar aasani se zindagi me,
Mera nasib bhi kabhi khola tha khuda ne,
Par ab to dil mein Patjhad hi hain,
Fir bhi aisa lagta hai ki tum aaye tha zindagi me bahar banke…



















Rishton ki dori kamzor hoti hai,
Aankhon ki baatein dil ki chor hoti hain,
Khuda ne jab bhi poocha dosti ka matlab,
Hamari ungli aapki aur hoti hai…
















Kuch Rishte Anjane Me Ban Jate He
Pehle Dil Se Fir Zindgi Se Jud Jate He
Kehte Hai Us Daur Ko Dosti
Jisme Anjane Na Jane Kab Apne Ban Jate hai. ..
















Faasle mitake dilon me pyaar rakhna,
Dosti ka rashta yunhi bekarar rakhna,
Maana ki bahut pyaare pyaare dost hain aapke,
Par un sab ke baad is nacheez ko bhi yaad rakhna…














Jab se aapko jana hai,
Jab se aap sa dost paya hai,
Har dua me aap ka naam aaya hai,
Dil karata hai punchu us rab se ke,
Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai….
















Kuch kehna chahti hun aaj me tumse,
Par na tu hai na tera saaya hai,
Ghut rahi hun ander hi ander mein,
Aaj to teri yaadon se bhi mujhe chain mil paaya hai….























Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..
Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga?




















Pal Pal Uska Saath Nibhaate Hum
Aik Ishare Peh Duniya Chhor Jate Hum
Samundar K Beech Me Pohanch Kr Fareb Kiya Usne
Woh Kehta To Kinare Peh Hi Doob Jate Hum…
























Yeh Dard Ke Tukre Hain, Ashaar Nahi Saaghar
Hum Kaanch Ke Dhaage Mai Zakhmon Ko Pirotey Hain..
`
Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho
Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho
Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho..
`
Bekhabar Tujhe Kiya Khabar,
Teri Aankhon Mai Kesa Jamal Hai
Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar,
Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai..
`
Mujh Se Bichar Kar, Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha
Meri Tarah Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha
Aese Ajeeb Dard Ke Pehre The Chaar Soo
Ab Ke Wo Mere Shehr Mai Aa Kar Udaas Tha…
`
Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye
Zindagi To Hi Bata Kaise Jiya Chahiye
Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi
Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye…




















Bari mudat sey chaha hey tumhain
Bari duaoon sey paya hai tumhain…
Tumhain bhulaaney ka socho b kasey
Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!!
`
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log…
`
Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot
Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki
Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot”
Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki…
`
Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra
Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye
Nagahan dil kisi baat par aesa dukha,
Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye…
`
Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare
Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare
Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten
Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare…
`
Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain
Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain
Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain…
`
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai
Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai
Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..
`
Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan
Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan
Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost
Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..
`
Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain
Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain
Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad
Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..
`
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..



















Aksar jab hum aapko yaad karte hai
apne rab se yahi fariyaad karte hai
umar hamari bhi lag jaye aapko
kyoki hum aap ko khud se zyada pyar karte hai…













No comments:

Post a Comment